Aaj phir purani ek Kahani yaad aayi

Aaj phir purani ek Kahani yaad aayi

Dard ki Mehfil mein kuch dard Fiza le aayi
Aaj phir purani ek Kahani mughey yaad aayi
Daur hi kuch aisa chal pada kya karein
Aaj phir mughey teri yaad bahut hay aayi

Chandni aaj phir darichon mein kuch kehne ko aayi
Aaj phir teri parchayi mughey nazer kyon aayi
Janey aaj tere geeton ki yaad mughey hay aayi
Aaj phir muskurakar janey ki tere adaa bahut yaad aayi

Faaslon kay Dariya mein behti ek kishti nazer aayi
Uss kishti mein behtey ek diye ki roshni nazer aayi
Maghdar mein behti kismat ki baatein
Kahan kisey ne samaghi yeh batein

Antim darshan ko takti in nighaon ko
tere darshan ki janey kyon ek aas nazer aayi
Aaj phir tere janey ki ek kahani yaad aayi
Aaj kyon tere yaad bahut hay aayi

Doob na jaon is dariya mein
Ki aaj mughey dariya mein faslon ki leher nazer hay aayi
Ek deewar se jughtey Lehron ki koshish nazer aayi
Unn Lehron mein chupi apni ek koshish nazer aayi

Aaj phir purani ek Kahani mughey yaad aayi
Aaj phir Sukanya ko tere yaad bahut hay aayi