Romantic Shayeri

Romantic Shayeri

 

Pathar ko bhi pani kar de hum
woh jaan rakhte hai,
anjaan ko bhi apna bana le hum
woh pehchaan rakhte hai.


Karte nahi izhar
phir kyun karte ho tum pyar?
nazron se bate bahat hui
ab lab se karo ikrar...


Fitrat me nahi Humare,
Mohabbat me aason Bahana,
Bewafaiko unki apni yadon me dohrana,
Do boond Sharab ki,
Bhuladeti hai sare gam,
Aur,Phir kisi nayi mehbooba ki talash me
Nikal padte hai Hum !!


Banakar tumhare dil ko basera,
tumhare dil mein rahna chahta hoon,
aaj tumse dil ki her woh baat,
mai bus kehna chahta hoon


Insaan jab is jahan mein aya uske pass gam tha
Aur jab is jahan se gaya tau uske pass gam tha
Khushi usne jis lamhe ko samajha, e yarab
Dar-asal tab uske gam ka ehsas kam tha


Har Dil Ki Tarah Mere Bhi Dil Ka, Anjaam Abhi Baaki Hai,
ThoDi Khushee Abhi Baaki Hai Isame, ThoDi Jaan Abhi Baaki Hai.


Dil ki sada ho, zubaa.n ki nida ho tum,
Hoor ho, hus.n ki har ada'a ho tum,
Is deewane ki khai'd ho, saza ho tum,
haya ho, fiza ho, thandi hawa ho tum.


Humne tumhari yaad mein ro-ro ke tub bhar diye,
tum itne bewafa nikale, usme nahaaiyen aur chal diye :)


Jab jate the dost, college me C++ Programming Sikhne
Tab jate the hum, maikhane peena sikhne.


Gaa to hum bhi sakte hain gar awaaz ho to,
Baja to hum bhi sakte hain gar saaz ho to,
Kaun kehta hai Shah Jahan ne Taj banaya,
Bana to hum bhi sakte hain, gar Mumtaz ho to


HUM NE TO MUHOBBAT MEIN APNE WAJOOD KE DO TUKDE KIYE;
EK KO KHUD SE JUDA PAYA;
EK PE TERA NAAM KHUDA PAYA .


Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon


Kai din guzre, tumse bichde
Kai pal beete, kai yug beete
Kai baar sambhala, khud ko sanam
Par thak hi gaye, jeete jeete
Khai thi kasam ki lad lenge
Duniya walon se, duniya se
Par hay jamana jeet gaya
na tum jeete, na hum jeete


In haseeniyon se pyaar kya karna...
In adayon se pyaar kya karna...
Yeh Zakhm de kar hasa karti hain....
In bewafayon se pyaar kya karna


Kehte hai dekhne se nazar lag jaati hai....
Poonam ki raat mei bahar na nikalna..... Kahee chaand tumhe na dekh le !
Wah wah wah wah......


kya din the woh zindgi ke jab tum hamare saath the
apne haathon mein leke chalte tumhara haath the
ai khuda mujhe mere woh din lauta de
mujhe meri zindgi lauta de


likh kar bhi,aankhon se bhi,honthon se bhi kabul kiya
par maana tha jinhe apna unhone thukra diya


darwaje se ana chahta tha,
tab dawaje band ho jate the.
ab jab darwazon ko tora maine,
sara ghar mere liye chhod jaten hai.
pahle bhi log mujhse katrate the,
abhi nafrat karte hain.
kabhi rooke bol bolte the,
ab dil mere tor jaate hain.


jeene ki aarzoo thi hamhari,
zindagi hamse mukh mod liya.
maut ka intazar kiya jab,
woh bhi hamhe tarapta chhod gaya.
na ab jeene ki chaah hai,
na kambakht maut aati hai.
zindagi ne to maut ke karib laya,
magar maut ne dil hamhara tod diya.


band kar liye the humne ishq ki kitab,
chhod diye dekhna ishq ke khwab,
daur-e-mohabbat ko dekh,
yaad aayee hamhen kitabon ki baat.


mere insaan hone ki gurur nahin hai mujhe
dusron ke jajbaat se aksar khelta raha hoon main
mujhse pyar paane ki arzoo nahin hai kishi ki
nafrat ke solon mein aksar jalta raha hoon main


safar zindagi ka manzil mein rukta nahin hai,
bas thikana badalta raheta hai.
sirf manzil mein hi to kushi milti hai,
safar mein gam ka saath bana raheta hai

arjoo thi jishki woh tum nahin ho
mohabat hai jish-se woh tum nahin ho
masoom hai jo woh tum nahin ho
zindigi hai jish-se woh tum nahin ho
sajni hai jo woh tum nahin ho
sapna hai jo woh tum nahin ho
tum jo nazar aati ho, hamesha
meri nazaron mein woh tum tum nahin ho


kam hai ye zindagi khud ke liye,
dusron ke bare mein sochta kyun hai.
teri khud ki zindagi itni mushkil hai,
auron ke bare mein sochta kyun hai.
tere to apne tere saath hai,
kishi ko apni zindagi mein bulata kyun hai.
khud ke liye kuchh to bachakar rakh,
yun apni kimti ansoo bahata kyun hai.


zindgi mein ek hi dukh hai ki tum hamare sath nahin
thodi der se milo par marne ke bad nahin


jo dard ta tere seene mein woh humne kab nahi samjha
kyon tune fir humko kabhi apna nahi samjha
tere liye to hum kuch bhi kar dete
taare tod ke tere anchal mein saja dete


aaj teri yaad aayi to aansu nikal aye
dil aaj bhi yeh sochta hai
tum kyon na humein mil paye


ai bewafa tu mujhse itni bewafai kar
ki tere alawa mujhe koi bewafa na lage


ye mera dil is dil ki halat kaise bataun tumhe
ye dil ab dil na raha di ki awaz kaise sunaun tumhe
kishi ke mohabat main thukraya gaya hai ye
ye dil mein jo dard hai kaise dekhaun tumhe


Teri bewafa hone ka subhah tha mujhe,
Par behaya bhi hai ish-se hum anjaan the.
Teri bholi surat pe kai baar qurbaan huye hum,
Shayad dil masoom tha hum nadan the.


Tanhayi mein baithe hue jab sochta hoon kuchh likhun,
Tab gamon ki dhaara samne se gujar jati hai.
Khushi ke do labz bhi zuban tak nahin aate,
Kavita meri dukhon ke sabdon se bhar jati hai.


Teri ankhon ki kashish khinch laya hai mujhe tere paas,
Tere pyare pyar ko pane ki hai mujhko aash,
gar tune mujhe dil mein basa liya,
kabhi tutne na doonga tumhara vishwas


Maut hi bas ek zindagi ka humsafar hai !
Aaj woh tere pichhe hai kal tere samne hoga !!
Rooh se judi teri ye zindagi ka safar hai !
Aaj woh tere saath hai kal tujhse dur hoga !!


Kabhi ek bund ko bhi tarashta hai admi,
aur kabhi bundon mein garajta hai admi,
kuchh bhi mumkin hai ish zeevan mein,
kabhi kabhi bin bundon ke bhi jajta hai admi.
(Here BUND means MONEY)

Ai Khuda aisi khudai na de..
Apne siva koi dikhai na de..
Kuda mujhe aisi khudi na dena
Sada kashtiyon ki sunaai na de
Khuda aise ahsaas ka naam hai ki paas rahe aur dikhai na de.

Parai duniya saza rahi hai sapne !
Sapno main ab aitbaar na raha !!
Kahne ko to sapne apne hain !
Magar sapno ko ab hum se pyar na raha !!

Dastan-e-dil kahete hain humse khaton ke sahare !
karib hain woh khaton se ehsaas tak nahin hoti !!
Izhaar-e-mohabat honthon se sun-na chahaten hain hum !
Rubaroo ke baad unki zuban tak nahin khulti!!

Tu Mili to zindigi mili
Tujako dekha to zindagi ko dekha


Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya

Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain


Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
To maut ki duva mangte hum deedar se pehle.


Hum Labon Se Keh Na Paaye
Unse Haal e Dil Kabhi
Aur Woh Samjhe Nahin Yeh
Khamoshi Kya Cheez Hai....


HUMSAFAR NA MILA, TO THAM GAYA THA KAARVAN
AIK TARA BHI HUMSE CHHN GAYA, MAANGA JO HUMNE AASMAN

kisi ne sach kaha hai koi bura nahi hota
sirf waqt aacha ya bura hota hai
lekin ye kaisi insafi ke hame koi galat aurbura samaj le
bina pesh karne ka mauka diye


hai kya kare hum jab hume sunne ki liye tak koi tayaar nahi
hai waqt unko auroo ki liye, ye nachiz ko kaun jane, aree jaan kar bhi anjan bane. Jab khade hai nawabzade 
aur raiszade, unke samne hum kya hai ........
wah re uupar wale tera lakh lakh shukriya
ki tune mujhe kamse kam nafraat to diladi, shukriyaa


Misal deneme shayad ho gayee ho bhul
kaha janab ka chehra?? aur kaha gulab ka phool???


In Udaas Muskurahaton Ke Peeche,
Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain,
Ke Tum Bin Hum Kitne Akele Hain


cigarette jalayi ke tumhari yaad na sataye
cigarette jalayi ke tumhari yaad na sataye
iss buzdil duhan ne tumhari tasweer hi banali


SHAYAD USS KHUDA NE
TUJHE BANANE KE BAAD CHAAND KO BANAYA
TABHI TO SABHI KEHTE HAI
KE CHAAND TO TERE PARCHAAI HAI.


TUTE HUA DIL KE DARD KA BHI ALAG MAZA HAI ,
JO USKO MEHSUS KARTA HAI VO USHI KO PATA HAI.


BEWAFA SANAM SE TO YEH CIGRATTE HEE ACHII DIL TO JALATI HAI PAR KAM-SE-KAM
LABHO TAK TO AATI HAI.


KAUN KEHTA HAI KI SHARAB BURI CHEZ HAI ,
TUTE HUA DIL KO JODNE KE YEH SABSE ACHHI TARKEEB HAI.


HUME TAU SIRF ARZ KARNE KA MAUUKA MILTA HAI
AAPNE SHIKAYAT KARNE KA HAQ TO KISI AUR KO DE RAAKHA HAI


kisi bhi mausam ka asar abb humpe hota nahi,
yaro hum ne tau registan(desert) ki aadat dal rakhii hai


agar tum ko humse pyar hai to batane ke jarurat nahi
janam itne to hum samazdar hai


Zindagi Hai...
Aur Dil-E-Nadan Hai.
Kya Safar Hai,
Aur Kya Saman Hai.
Hamare Gum Ko Samajke Dekhya,
Muskahara Dana Bada Aasan Hai.


Hum se kya khathaa huvien, mail aanaa bandh hai...
Aap hi humse naaraaz hai, ya mail server bandh hai?!


DUNIA NE BESHUMAAR SHAKEEL KO DIYE HAIN RANJ
AY DOST TU BHI CHEEZ KOI BESHUMAAR DE


MOHABBAT KE LIYE KUCH KHAAS DIL MAQSOOS HOTE HAI
YEH WOH NAGMA HAI JO HAR SAAZ PE PAAYA NAHI JAATA


jise dil diya woh dilli chali gayi
jise pyar kiya woh italy chali gayi
dil ne kaha khud khushi(suicide) kar le jalim
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi


wo aaye humari mazaar pe diya bhuja ke chaldiye
baaki bacha tel sar pe laga ke chal diye


Dil ki lagi kuch asi lagi, hum dil hi gawa bhetain,
ye dil ka lagana kya hua ek rog laga bhetain


har rahi ko manzil nahi milti,
har mujrim ko saza nahi milti,
mera bhi khwaish hai TajMahal banane ki,
magar har kisi ko Mumtaz nahi milti


kal bhi intezaar tha un ka, aaj bhi hai
kal thi udaasi unhe paane ki, aaj unhe khokar udaas hai..


Raat ko jalte diye din me Bhuja karte hai
Hum to tere pyaar me din raat jala karte hai


SHABE RAAT THI AUR GUL KHILATHA AFFTAB PE....
KISI NE KAHA CHAND HAI MENE KAHA CHAHERA TERA.....


aaj phir hatheli per lakiroon ka samunder dekhu
la tera haat ki main apna mukkadar dekhu


Woh chhum chhum karke aayee,
woh chhum chhum karke chalee gayee.
main haar leke khada raha
woh raakhi baandhke challe gayee


Tumhari Mohabbaatne Hume,
Kya Kya Bana Diya...
Jab Kuch Na Ban Sake,
To Tamasha Bana Diya.


Dil diyaa tha dilruba samjh kar...
Dil diyaa tha dilruba samjh kar...
Kha gayee kameeni kharbuja samajhkar!


Phool hilkar padhe huvein hai, koi uttatha kyon nahin...
Phool hilkar padhe huvein hai, koi uttatha kyon nahin...
Ladki taher ke dekh rahi hai, koi pataatha kyon nahin!

Pher lete hain nazar, dil se bhula dete hain
Kya yun hi log wafaon ka sila dete hain
Wada kiya tha phir bhi na aaye mazar par
Humne to jaan di thi isi aitbaar par
Kyon bhula diya humein, kyon dil se gira diya
Hum to yun hi mare huye the, aap ke inkaar par


Sar jhukaoge to patthar khuda ho jayega
Itna na chaho usey wo bewafa ho jayega


Had ki had se guzarna koi aap se seekhe
Yun mohabbat mein jaan lutana koi aap se seekhe
Hum to dil deke bhi aap ke ho na sake
Dil se dil ko churana koi aap se seekhe
Yeh jo sheesha e dil churaya hai aapne
Is dil ko sambhalna koi aap se seekhe


Maine tujhe pyaar kiya
Saraswati samajhkar
Tere baap ne mujhe jalaa diya
Agarbatti samajhkar.


Duniya mein pyaar to sabhi karte hai
magar pyaar sabka safal nahi hota
Agar pyaar sabka safal hota
To pyaar ka pehla shabd adhura nahi hota


Likha hai khat tumhe
Kuch galat mat samajhna
Saali huN tumhari
Gharwali mat samajhna


You are so cute
You are so smart
But the best thing about you
is you are good from the heart.


mana tera husna: meri har baat se accha hoga,
tera har deen meri har raat se accha hoga,
par doli oothegi jab teri, bahar jhank ke dekhna,
mera janaja teri baraat se accha hoga.


Eed ke din aap khadi na hona chhat par
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar


Kaate nahi kat te hai lamhe intezar ke
Kaate nahi kat te hai lamhe intezar ke
Nazre jama ke baithe hai rasthe pe yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
laaya hai koun inhe palak se uthaar ke


Na koi Manzil rahi, na koi raasta,
Jab koi tamanna hi na rahi, to zindagi se kya wasta


Deewar kya giri mere angan ki!!
deeewar kya giri mere angan ki!!!
logon ne ise aane jaane ka rasta bana liya


Tumne ye ghoongat jo saja rakha hai
Mano sooraj ko duba diya hai
Jalti mohabbat ko jinda dafna diya hai
Uthana is ghoongat ko hamare pyar mein
Mar jana chahate hai ab teri baahon mein


Hum neh chor diya ta zamaana ko unkeh khatir
magar hume kya khabar tha ke woh bewafa hume chor denga
zamaane ke khatir.


Main Tasawwur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon,
Maine Kismat Ki Laqeeron Se Churaya Hai Tujeh.

Teri aankhen hai yaa neeli jheel
Teri aankhen hai yaa neeli jheel
So what's the big deal

teri soorat mein aankhon me chupaloon, phir se ek jhalak dikhayiye
sadiyon ka pyaasa hoon mein, aa meri pyaas bujhayiye

jisne hai pyaar mein dhokha khaaya;
usne hai Khuda ko paaya;
milti thi laila ek zamaane mein;
aaj bewaafawon ka yug aaya.... .


Mast Nazaron se dekh liya hota
agar tamanha thi aazmane ki
Hum to behust yu hi ho jaate
Kya zaaroorat thi muskurane ki

ek pal ke rook jane se
manzil door ho gayi
sirf hum hi nahin chalte
raste bhi chalte hai

naseeb mein jiske jo likha hai, wahi sab ke hisse mein aaya
kisike hisse mein pyaas aayee to kisike hisse mein jaam aaya.

ajnabi jaanke guzare to koi baat nahi the,
log kyon jaan ke anjaan guzar jaate hain?

Phul khilte hein, baharon ka sama hota hein,
aise mausam mein hi pyar jawan hota hein,
dil ki baato ko hoto se nahi kehte,
ye fasana to nigaho se baya hota hein.

Eik Arzu yahi hai dil-e-beqarar mein
Marjaun main kisi bhi hasina ke pyar mein
Guzri hui jawani ko nikla hun dhundne
Shayad yahin khari ho koee mere intezar mein

Main dekhta hun ghar par tum roz aa rahi ho
Kyun mere sabr ko tum yun aazma rahi ho
Ruk ruk ke is tarah jo dukhdard suna rahi ho
Ye hal-e-dil hai, ya tum imla likha rahi ho

Parda oarh kay roaz aana teree majboori haye
mera fun, mera hoonar haye toojhay noomayaan karna
kaysay kar loon mohabbat ka may teree aitabar
teree aadat meree jaana haye bewafiyaan karna

har seenay main ek dil hota hai
har dil main ek yaad hoti hai
mumkiN nahin ki kar koi bana de Taj Mahal, lekin
har dil main ek Mumtaj hoti hai

Kissi key ek aansoo per hazaroon dil taraptay hain
Aur kissi ka umar bhar ka rona be-kar jata hai

na pi sharab ghalib masjid mein baith kar
ek hi botal hai kahin khuda na maang le

Zindagi ki raho me ranjho ghum ke maile he
bheed thi qayamat ki aur hum akele the

mere janaaze ke peeche sara zamaana nikla
lekin woh nahi nikli jiske liye mera janaaza nikle

Har rooj to aadab aadab karte the,
eek din dab leya to khafa ho gaye.

Yeh Kaisa Andaaz Hai Aye Zindagi Tera,
Na Tu Kabhi Kissi Ki, Na Koyee Ho Saka Tera...


Tum aatey ho Hauley sey, Dheerey sey aisey
Raaton Ko Neend, Chupkey sey aatee Ho Jaisey.
Yun Lagta Hai Jab Hawa Takraatee Hai Rukh Sey
Tere Narm Haathon Ney Mujhe Chhuaa Ho Jaisey

Phasla to hai magar koi phasla nahin
Mujhse to juda sahi, dil se par juda nahi.

Tumse Milkar Aisa Laga Hame Ki Ik Tumhi Ho
Jise Humne Kabhi Socha Tha , Kehna Hai Tumse
ki Hume Be Tumse Ishq hai Magar Darte Hain Ke
Kya Kare Tumhe Knw nahin Chahate

Kaise kah de kuda-aaphis ye dost
kuchh dhage dil ke tute nahi tutate.

sabooot mohabbat ka hai ya meri saada-loohi ka
usne wada kiya, humne itaabar kiya

zindagi haar kar bhi aan milenge tum se
tum to chupke se eik baar sada do hum ko

garmi hasratein nakaam se jal jatein hain
hum to charaghon ki tarha shaam se jal jatein hain
jab bhi ata hai tera naam mere naam ke saath
jaanai kyoon loag mere naam se jal jatein hain!!!!!!

mujhse mat poochh meri jindagi ke baare mein
isme kuchh pardanashinon ke bhi naam aate hain.....

chand ki tarah tum chhipo raat ki tarah main dhaloon
is tarah ek sham aur saath gujar jayegi.....

Mat milo mujhse In Parbbaton Ki OOnchaiyon Mein
Suna Hai Tarey bhi Kabhi Falak sey Toot Kar Gira Kartey Hain
Kahan Chal Diye Chod Kar Yeh Maikhaney Ki Diwaarein
Suna Hai Khuda-Parast Bhi yahan Chup Chup key Mila Kartey
Yun Na Dubo In Sagar Ki GehraYion mein
Key Jeeney wale to Gammon key saharey bhi raha kartey hain
Ek Baar Ruk Kar, Mudd Kar to Dekho Is Taraf..
Hum Bhi Dekhein, Wafaaon key fakir, Kab tak akele chala kartey hain.

Ab bhi yaad hai, kuch lamhe hamen apani muhobbat ki dasta ke!!
Kyoke kat ti hai kabhi kabhi ab bhi raate mahekado ke talaash me.
Kabhi jo bhoolta hu, to phir wo bholi surat khwaabon me aati hai,
Dil aur chain loot, hume phir jaga jaati hai ... :(

Ankhon se door door, Dil ke paas paas,
Har lamha judai ka gum ,
Har lamha milne ki aas.

manzilon pe aake lut-te hain dilon ke karvaan
kashtiyan saahil pe aake dobti hain pyar ki

marte ko maarne mein azm kya
azeem to woh hai jo girte ko tham le

Puchha hai kai baar kisi ne pata mujhse meri taqdeer ka,
Meri Mohabbat ke kore kagaz par bani huee tasveer ka !
Naa bata saka hun aur na hi khud jaan saka hun mai,
Rang un gore hathon mai mere ishq ki laqeer ka !!

Mujhe phir wahi yaad aane lage hain
mujhe phir wahi yaad aane lage hain
mujhe kyon infinite loop me dal rahe hai??

Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

Tumhe Dekhenge to sitare ziya mangenge
Aur pyase teri zulfose ghata,mangenge
Apne kandhese dupatta na sarakne dena,
varna budhe bhi jawani ki duwa mangenge.
imanse..imanse..

Ab Humari mohabbat ka ek hi Anjaam Baki Hai,
Ab Humari mohabbat ka ek hi Anjaam Baki Hai,
Tumhare Naam ke aage,Humare Naam Jodna Baki Hai

fitrat me nahi hamare,mohabbat me asoon bahana
bewafaiko unki,apni yadoon me dohrana,
do boond sharab ke,bhuladeti hai sare gamm
phir kisi nai mehbooba ki talash mein,nikal padte hai hamm

Aur aahista keeji baaten ..dadkane koyi sunraha hoga
labjh girne na paaye hooton se ..waqt ke haat inko chulenge
kaan rakhe hai ee daro deewar raaj ki saari baat sunlenge
Aur aahista keeji baaten ..dadkane koyi sunraha hoga

hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zi.ndagii kyaa chiiz hai

jIsE dEkhO dil kI dhOOni lagata hEin,
yEn kOi mandir nahi, sHivala nahi hEin,
haSinaaO sE kehDo, yE mera DIL hein, dil -
kOi dharamshala nahin hEin

kUch majnU banE, kUch ranjHa banE,
kUch romeo huE, kuch farhad huE,
jiSE dekho, pyar ke deewanE huE,
IIs rang roop kII chahat mEin jaanE kitnE barbAAd huE.
AaDab

DavaN bHi kaam N aAyein,
KoII duAA N laGein,
meRe Khuda keeSee ko pyar ki hava N laGein.

Hui humse ye nadani Ki teri mehfil mein aa baithe!
Hoke zameen ki khakh Aasman se Dil laga baithe!!

Mujhe Apnoo ne loota hai, Gairon me kya dam tha!
Meri kashti Wahaan doobi, Jahan paani bahut kam tha!!

Aap Gairon ki baat karte hain, humne Apno ko Aajmaya hai!
log Katoan se bachkar chalte hain, humne Fooloan se Jakhm khaya hai!!

SamjheN haiN jab se samajh-e-zindagi
Jiya hai zindagi tujhe zindagi samajh
[samajh-e-zindagi = meaning of life]

Zindgi, mein khabhi tuje samaj nahi payee
jab bhi socha sumaj liya hai tuje
ek nayee thokar khayee!!

Chand din mein jawani shayad mano na rahe
kon puchega tumhe fir husn dhal jane ke baad
yeh jamana khud garj hai iska yeh dastur hai
baat karta kon hai matlab nikal jane ke baad

Meri udasi ki hai ek vajeh,
iis khamoshi ki hai ek vajeh,
ab kaise batau iis mehfil ko,
ki teri pareshani hi hai yeh vajeh.



Mahobaat jin ko hoti hai wo kab fariyad karte hai
labo pe mahare khushi ki dilo me yaad karte hai

Dil me yadoo ki tarah, Akoh me ahasu ki tarah
tum mere paas ho, phool me khusbu ki tarah.

mudkar jara idhar bhi dekh zalim ki tammna hum bhi rakhte hai
husn tere pas hai to kya hua, jigar hum bhi rakhte hai.

Socha na thaa teri ulfat mey aisee thokar khaayenge
Pyar kee duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge
Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi
Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge
Chahta tau hu magar aasaan nahi tuje bhoolna
teri yaadon ke sahare yuhi din kat tey jaayenge

Raste Main Gire Hain Phool
Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi
Nibhata Hai Koi Koi

Mere khayalon mein mehkisi teri tanhai hein
Mujhe her aahat pe lagen shayad milne too aayi hein

Jukha kar utha na sake sar mere saval par,
Zulfon ka naqab gira hai, mere dil ka raaz le kar

Palakon se utha ke ye khwaab, Sajaaye hein kadamon mein tere.
Samhaal ke rakhna kadam, Kaheen kuchal na jayeen khwaab ye mere.

Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Apple kat ta hoon knife se,
Paani peeta hoon pipe se,
Kya zamana aaa gaya,
Joote khata hoon wife se

Jee raha Hoon kis liye Mai iss gam-e Zindagi ko,
Marke bhi keh na sakoonga Apni kahaani ko !
Chup raha to maar degi Mujhe meri hi Tanhaaee,
Keh diya to seh Na sakoonga Mai Duniya ki Rusvaee !!

aa bhii jaao kii ziNdagii kam hai
tum nahiN ho to har khushii kam hai

Humse aaya na gaya,
unse bulaya na gaya;
Faasla phir pyar ka,
dono se mitaya na gaya.

Chehre se hata naqaba,
ki duniyan bhi jaane ki qayamat kya hai;
Ban sahil,
ki bin tere dariyan ka dharti se milna kya hai;
Ban badal,
ki bin tere sookhi dharti ki pyas buzna kya hai;
ki Ban qua'il,
ki bin izhar-e-jigar yeh pyar-muhobbat kya hai!
(qua'il = confessing ...)

Jis jaha makini banane ke dekhe the kawab
is ghar me ek sham ki maheman bhi na thi
duniya ko dekhti rahi jis nazar se
us aakho me meri pahechan hi na thi

Mai to sahil tha chalta to bhi kaise chalta
wo bhi mozo ki tarah aaya ta palbhar thara
sham pagla tha chala aaya jo mere jalim
mai to badal tha hamesha hi dinbhar thara

Phool khilna chahata hai, Kali khilne nahi deti;
Dil milna chahata hai, Kismat milne nahi deti!

Hame Pata Hain, Aapko Pata Hain
Pyaar Ka Ikarar Karne Se Darate Hain
Ek Ishara Karane Se Darate Hain
Haan Hum Sirf Ek "Na" Se Darte Hain

Humne unse pyar kiya,
yeh mere pyar ki had thi.
Humne unpe itabar kiya,
yeh mere itabar ki had thi.
Markar bhi khuli rahi meri aakhen,
yeh mere intizaar ki had thi.

Aashiyane ki baat karte ho,
Dil Jalane ki baat karte ho,
Hamko apni hi khabar nahi,
Aur tum duniya ki baat karte ho,
Duniya ke saare ranjo-gam de kar,
Muskurane ki baat karte ho.

Tamannaa thi jeene ki, koi chiraag na milaa
Tamannaa thi jeene ki, koi chiraag na milaa
Roshni chaahi thi
Magar andheraa milgayaa

udhar woh badghumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai
na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse
badghumaanee = suspicion
naatavaanee = weakness

Tujse aachi to wo Cigrette hain
Tujse aachi to wo cigrette hain
JO Dil ko to jalati hain, magar hoto ka pas to aati hain

be gharo pe kya gujarti hai tumhare shahar me
sar rato mai kabhi tum ghar ke bahar dekhana

Patharr kyun marte ho, pura parbat maar do
Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shahed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

Behlaae jab dil na behle, to aise behlaae
Ghum hi to hai pyaar ki daulat, ye kehkar samjhaae

Lal Lal loto,Gulab No goto
Jo taro maro Prem Sacho hoi to mokal taro photo.

Mere Is Dil ka yun Bezubaan hona, shayad teri hi dharkanon ki hi awaaz hai
Yun hi to nahin aa jata hai mujhko yakeen, zaroor isme tera bhi koyi haath hai
Kab tak chupaoon yun In nazron key Ishaare, thoda thoda to shayad Inko bhi yeh Ehsaas hai,
Jo Odd rakha hai berukhi ka tumne aanchal, Kya Is sey bhi Dost, Ab Tumhein Inkaar hai.

Layee Hayaat Aaye, Kaza ley chalee Chaley
Apni Khushi Na aaye, Na Apni Khushi Chaley.
Hayaat=zindagi (life), kaza=maut (death)

Dil Ka Mausum Kabhi Gairo Se Ayaan Karte Nahin
Tut Kar Bikhare Magar Japt Ki Aagosh Rahen
Vo Tera Jaraf Tha, Tu Shor Ke Pahelun Me Rahaa
Jaraf Ye Apana Hain, Hum Aaj Bhi Khamosh Rahe

Milte Hain Har Mod Pe Humdard Muzko Yahan
Lagta Hain Is Shaher Me Adakaar Bahut Hain

Yeh kis rah mein mile they hamsey tum
Jo ab Is mod par aakar bichdey ho
Jab nazrein hee pher Lee hain hamsey tumney sanam
To ab kya Shikayat tere Is sang dil sey ho.

Ab tu hi nahin sanam to teri yaadein hi sahi
In yaadon mein chupi hui yeh andheri raatein hi sahi
Tha zindagi mein dost Ek tere saath ka hi sahara
Jo Ab woh hi nahin, to tere yeh jhootey vaade hi sahi..

Hazaaron khuaishein aisee key har khuaish pey dam nikley
bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikley
Zara parda naqabe sey utha zaalim, kahin aisa na ho
yon bhi wahi qafir sanam nikley.

Aye dile naadan tuzhe hua kya hain,
Aakhir is dard ki dava kya hain,
Hamko Uunse hain vafa ki umeed,
Jo nahi jaante ki vafa kya hain.

Main Tum say milnay aaon ga, darwaza kula rakhna
Main ek rooz tum ko lay jaon ga, bus itna yaad rakhna
gar waqat humaray durmian aajae toe muskarana yaad rakhna
Main Tum say milnay aaon ga, darwaza kula rakhna

Pyar ka pehla khat likhne mein, wakht to lagta hain
Naye parindo ko uudne mein, wakht to lagta hain
Jism ki baat nahi hain, uunke dil tak jaana hain
lambi doori tai karne mein, wakht to lagta hain.

Bahot Koshish Ki Magar Na Bhula Paaya Main Tujhko,
Yaad Tumhari Satati Rahi, Chaen Bhi Na Aaya Mujhko,
Sote Waqt Bhi Chera Saamne Nazar Aaye,
Kya Mil-Jayega Mujhko Pyar Mera,
Bas Yahee Sochte Sochte Raat Guzar Jaye.

Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Yeh kaun hai ki jiska intezaar ab bhi meri nazron mein hai
Yeh kaisi hai aahat ki jiski dharkan ab meri ragon mein hai

Abkey bichdey phir shayad khuabon mein milein..
sookhey huey phool jaisey kitaabon mein milein.

Jawaab Mere Har Sawaal Ka
Laa-Jawaab Uska Ek Sawaal Tha

Tum Chudaa Paoge Daaman Na Meri Yaadon Se
Hamane Khushbu Ke Tarah Chupaya Tha Tumhe
Aayna Dekhoge Jab Tum To Nazar Aaayenge Hum
Humne Bhi Aayana Ek Roz Banaya Tha Tumhe

Maine Chaaha Tha Tera Sang Sanam
Tune Diye Magar, Bahut Sang Sanam

Unkey dekhey sey jo aa jaatee hai muhn par raunak
woh samajhtey hain ki bimaar ka haal accha hai...

Meri kismat mein tu nahi shayad,
phir bhi tera intezar karta huun,
mein tujhe kal bhi pyaar karta tha,
mein tujhe aab bhi pyaar kartu huun.

Zindgi Ek Pyaas Ban Kar Rahe Gayi
Pyaar Ke Kisse Adhure Rahe Gaye
Shaayad Ye Unka Aaakhri Ho Sitam
Har Sitam Ye Soch Kar Sahe Gaye

Hai duniyan mein dekhne ko nazaren aur bhi,
par ji karen nazron ko teri bas dekhta rahun.
Kisse, kitni kahania, Maamle hazar,
tammana-e-dil bare mein tere bas sochta rahun|

Manzilo Pe Aake Rukte Hain Dilo Ke Kaaravaa
Kashtiyaa Saahil Pe Aksar Doobati Hain Pyaar Ki

Kaisey keh doon apni Zubani apney hi dil ka haal
Baat hoton tak aatey aatey Dar key chup jaatee hai
Nazrein Mil hi kab paatee hai Kaafir Sanam sey
Uthney sey pehle hi, yeh to sharm sey jhuk jaatee hai

Gam bade aatey hai kaatil ki nigahon ki tareh
Tum chupa lo mujhe ai dost, gunahon ki tareh..

Teri yaad main yeh dil ab bhi bayqarar rahta hai
Mujhay aaj bhi her shab tera intizar rahta hai
Tujhay kho kar bhi bhol nahi pata hoon main
Her lamhay teri qurbat ka khumar rahta hai

Teray gaysoon ki chaoon main youn laga mujhay
kay badal barasnay ko baytab hai
Teri paishani pay yeh bikhri zulfain
lagata hai badaloon kay pichay Mehtab hai
P.S. Its difficult to write urdu in english

Kaate Nahi Katate Hain Lamhe Intezar Ke
Nazare Jamaaye Bethe Hain Raste Pe Yaar Ke
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husn Yaar Ke
Laaya Hain Kaun Inko Phalak Se Utaar Ke

falad ke tir ka kya dekhta nishana tha,
udhar thi kasthi, Idhar mera aashiyana tha,
Pahunch rahi thi kinare pe kastiye umeed,
Usi waqt is toofan ko bhi aana tha.

Woh aaye hamari Kabar pe, do phool chadha gaye,
Hum phele hi itne dab chuke the, woh hame aur daba gaye...

samundar ke toofan se to nikal gaya,
par teri aankhon ka dariya par na kar saka.

Dil loge Ke Jaan loge
Meri Jann Set hona me kitna time loge.

"Humko Milne WalooN, Humse Milkarr Dil Humara Dehkna,
Hum Sammundar HaiN, HumheN Kinaro Se Kya Dehkna.."

Mere Mehboob Ne Waada Kiya Hain Paanchve Din Ka
Mere Mehboob Ne Waada Kiya Hain Paanchve Din Ka
Kisise Soon Liya Hoga Yeh Duniya Chaar Din Ki Hain

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

kya kaaren?
dil ki baat jabaan se bayan ho nahi sakti,
yeh aankhen bhi kambakht eishara de nahi sakti,
kya kaaren, kya naam de is aapas daari ko,
jaante hain hum ki yeh Mohabbat to ho nahi sakti.

honthon se nahi, aankhon se nahi, likh kar to muqaabil kijiyen,
maante ho jinhe tum apna, uunhe kuch to khabar hone dijiyen.

Aaisa ho gayega
Maine socha na tha
Dil yeh kho gayega
Maine socha na tha
Ab is dil ko
Main dhundu kahan
Dil jahan hai
Kaise pahchu waha??


SHAYAD MERE PYAR KO
TASTE KARNA BHOOL GAYE
DIL KO AISA CUT KIYA
KE PASTE KARNA BHOOL GAYE

Yeh dil ka zakhm tumney diya hai tou koi baat nahin
Yeh jigar ka dard agar tumney diya hai tou koi baat nahin
Majaal kiski thi ki kehta mujhey deewana magar
Yeh tumney kaha hai tou koi baat nahin......

mere aassuon ki kataar
tere pyaar ki nishani hai
tu samajh sake to moti
na samajhe to paani hai

Fulo ko dar hai murja janeka,
Patthar ko dar hai thukra jane ka,
Main aakhe isi dar se nahi kholta ,
Qki muje dar hai sapno ke tut jaaneka.


Pyar Sab Kuch Sikha Deta Hai,
Hasna Rona Bhula Deta Hai,
Zindagi Me Har Ek Pal Yahi,
Dard Sehna Sikha Deta Hai. 


Yeh dil ka zakhm tumney diya hai tou koi baat nahin
Yeh jigar ka dard agar tumney diya hai tou koi baat nahin
Majaal kiski thi ki kehta mujhey deewana magar
Yeh tumney kaha hai tou koi baat nahin......

Aashiq Kabhi Mara nahin Karte.......
Zinda Dafnaye Jaate hain......
Kabr Khod kar Dekho to
Intezaar mein Paaye Jaate Hain.......


Wo Chandee Sa Badan zulfo Ka Saaya Hai
Bahut Aziz Humhe Hai Magar Paraya Hai


Meri Zindagi bhi azeeb hai,
na bahar hai na shabab hai,
ik aag ka dariya ha or dard ki kitab hai.

KYA ISHQ NE SAMJA HAI.
KYA HUSHNA NE JANA HAI.
HUM KHAIK HASINO KE THOKER MA JAMANA HAI


Is tarh se gam ki rat basar kiya karte hai
Chaand taro se teri bat kiya karte hai.


ZINDAGI HAI EK ZUA
HUM TAASH TO LIYE FIRTE HAIN
ROOH TO KAB KI NIKAL CHUKI HAI
HUM LAASH KO LIYE FIRTE HAIN


Khudariyon ke khoon ko aranza na kar sake
hum apne johanrao ko numaya na kar sake
tuta tilsame ahede mohabbat kuch is tarha
phir arazoo ki shama faronza na kar sake


Phoolo ki sej dekhta hai to rota hai,
phoolo ki sej dekhta hai to rota hai .
kaisa ajeeb shaks hai kanto par sota hai....

Har rat swapna aye ye jaruri to nahi
har pyar wada nibhaye ye jaruri to nahi
lash to lakho hote hai
har lash ko kafan mile ye jaruri to nahi.

Kisi ki lash phoolo se saji hai
kisi ki lash bina kafan ke padi hai
ye bhai jara dekh kar chal
na jane mout kaha khadi hai

Ek sachcha prem bahumukhi nahi hota,
har ek phool gulab nahi hota
kisi ko haste dekh kar galat mat samajana
kyoki har ek hasne wala sukhi nahi hota

Asman mai etane sitare kaha
ki har ek ko sitara mile
kasti mile to kya jaruri hai
sabko kinara mile

Mohabbat ke ashiyane banate to sabhi hai
kuch apno ke liye kuch begano ke liye sajate hai
hum chand kuch badnashibo mai se hai
jo apne hi mehaboob ke hatho se ashiyane mitate hai. 

Ruth kar bhulave ke fareb mai jal rahi ho
karo yakin pucho antar se
ki ab bhi tumhare khayalo ke akash
main ek chand roj nikalta hai magar
hamesha adha hota hai kya
vah mujh jesa nahi hota hai.

Pati pati gulab nahi huwa karti
moti moti pe aab nahi huwa karti
zindgi be maza si lagti he jab
khayalon men aap nahi huwa karti

Dukh hain agar jeevan mein abhi
Khushiyon se jhoomega ik din sansaar saara
Aayega jeevan mein khushi bhi
Hamesha to nahin rehta raat ka andhera

yaro hamari kitab na kholana
dard hi dard milega
ya to ham par hasi aa jayegi
ya ankho mai asoon

MERE KABR PAR PHOOL CHADA RAHA HAI KOI
MERE KABR PE ANSOO BAHA RAHA HAI KOI
AE MERE KHUDA THODI SI ZINDAGI AUR DE DE
MERE KABR SE UDAS JA RAHA HAI KOI

DIL DIYA ATIEBAR KI HAAD THI
JAAN DE MERE PYAR KI HAAD THI
MAAR GAYE PHIR BHI KHULI RAHI ANKHEN
TERE INTEZAR KI HAAD THI

gam bhulana chaahu to darta hai yeh dil,
kahi jindagi kho na jaaye,
andhere ko kosna chaahu to darta hai yeh dil,
kahi raushni rooth naa jaaye!

Aur Arman Ek Nikal Jaata,
Ek Kali Haske Aur Khil Jaati.
Kaash! Eis Sangdil Zamaane Se,
Ek Hasien Shaam Aur Mil Jaati.

Khayal aapka humko bahut satata hai,
Kabhi hamara bhi kahiye khayal aata hai.

Ek pal ko
to aisa laga
sab kuchh
mera apna hai
phir kyun
yeh ahsas hai
ki shayad
yeh sab sapna hai...?

YE KYA GHAZAB HUA!
MAGHRIB KA WAQT THA
TU NE MUSKURAYA
LOGONE CHAND SAMAJ KAR
EID KA ELAAN KARDIYA

Ghadi ghadi hum ghadi dekh kar
us ghadi ka intezaar karenge..
jab aap wapas aajaye,
aur hum aapka deedaar karenge..

Phool khilna chaahata hai,
kali khilne nahin deti.
Dil milna chaahata hai,
kismat milne nahin deti

Gham ki yaadon ne aisa gheir rakha hai,
Ki, khushi kaa mauka yaad hi nahi,
Yaad hai to tumhara chehra,
Magar vo bhi ghamon mein shaamil hone lagaa!!

KUCH MILE KUCH NAHI MILE KUCH MIL KAR BICHAD GAYE
HUM KO TO DHOKA HI MILA A YAR HUM DUNIYA MAI JIDHER GAYE

Lab pe hi rukti hai baat aate aate
Neend to nahin aati sapney bohut hain aate
Ham to hain phase ik haseen uljhan mein
Kaash woh aakar ise suljhate

vaada to kar gaye ki
khabon mein ayenge,
lekin mare khushi ke
neend na aaye to hum kya kare!!!

Zindagi bhar mein karenge
gustakhi ek baar
YAAR to paidal chalenge
hum janazhe peh sawar 

The gates of memory never close,
how much i have missed you
no one knows,
your loving heart,
your golden smile,
no better friend is this world.

AAP GAIRON KI BAAT KARTE HO HUMNE APNE BHI AZMAAY HAIN.
AAP KAATON KI BAAT KARTE HO HUMNE PHOOLON SE ZAKHM KHAAYEIN HAIN


Aap jiye qayamatak
Yeh khudase meri gujarish hogi
Agar woh bhi chahe zindagi kisiki
to aapse pehle nachiz ki hogi.


Sharay mat banao sharay chott jatay hai.
nadi may baad aati hai kinaray tota jatay hai.
naye dost mat banao puranay chott jatay hai.
jab naye dokha datay hai tu puranay yaad aatay hai.


E yaar sun yaari teri,
muje jindagi se bhi pyaari hai,
jawab ek nahi hamaaraa kahin,
badi khubsoorat yeh jodi hamaari hai


DOSTO AAJ TUM MUJH KO CHOD KAR JA RAHE HO,
MAIN KABHI TUM KO APNA KAHA KARTA THA,
DHOOL DAITEY HO MUJHEY APNEY CHERAY KAY LIYE,
MAIN KABHI TUM KO PHOOL DIYA KARTA THA.


HAR PHOOL KHUSBUDAAR NAHI HOTA
HAR PATHAR CHAMAKDAAR NAHI HOTA
DOSTI DEKH KAR KARNA DOST
HAR DOST WAFADAAR NAHI HOTA


Zindagi ki rah mein,dost
milkar bichar jate hain,
bas yadoon ke sahare,hamein chour jatein hain,
karte hain ruksat hum unhein,
mitha sa dard lekar,
bas isi kwayeesh mein.....
na bhulaye hamein woh kabhi bhulkar 


"Yeh dil ki baat ,
Is dil mein hi rahe to acha hai.
Yeh ankhein jab bol rahi hai ,
Yeh Labh khamosh rahe to acha hai" 


Woh raat ke kohre mein nazar aata hai,
Ek dard uski baaton mein nazar aata hai,
Cchipaye bhi jo na chup saka,
Wahi pyar uski aankhon mein nazar aata hai..


Gamo mai bhi muskurana chahta hu mein
tumhe bhulake ek nayi duniya basana chata hu mein
magar na jane kyo nikal ate hai ashoo
jab bhi tumhe bhulana chahta hu mein


Ye jindagi bhi ajeeb chij hai
kabhi rulati hai aur kabhi hasati hai
kuch kar bhi nahi pate bas yuhi gujar jati hai


Aaj un se
mulakat hui
Idhar udhar ki
baat hui
Jo chahta tha
dil mera
Baat wo to
ho na paye
In hoton ne
saath na diya
Par aakhon ne
Wo baat kahi.


Pyar ka naam maine
suna hai magar
Pyar kya hai yeh mujhe
nahi hai khabar
Par jana hai mujhe
pyar ke us nagar
Sang leke ek
Pyara humsafar.










Kai baar maine socha
kya yahi pyar hai?
Apne dil se puchha
kya mujhe intazar hai?
Dil to kahta hai
mujhse baar baar
Pyar na sahi, par
kuchh to hai yaar!
Har waqt jo yeh
halchal si hoti hai
Dil main pal pal
aahat si hoti hai
Is halchal ko mai
kya naam du?
Is aahat ko kya nam du?

No comments: