Anjana sa ek dard……




 Kyu Anjana sa ek dard andar se jata nahi kyu sona chahu fhir bhi main neend tak pahuch nahi pata Kyu Khwab dekhne ki lagan hai, Par pure ho pate nahi
Waqt ye insaaf toh nahi,fir bhi kyu waqt se hum khilaf nahi
Kyu dar hai kuch khone ka, jab ki kuch paya nahi
chalte bahut hai manzil pane ko,Rasta khatam ho kar bhi kyu kuch hasil nahi
Hans Loo kbhi had se jada to, Kyu dar lagta hai fir kahin rona to nahi
kyu yaadon ka sahara acha lagta hai,Kyu haqiqat mein jeena nahi



Kabhi Ajnabi se mile the, Phir yuhi milte chale gaye, Hume toh unhe aapna dost banana tha, Magar woh too hamare dil.. Ki
dhadkan bante chale gaye.






Kabhi dil ki kamzori bankar reh jati he, Kabhi waqt ki majburi bankar reh jati he, Ye dosti wo pani he, Jitna bhi piyo pyas adhuri reh jati he..
 

  

Maut mangte he to zindagi khafa ho jati hai Zaher lete he to wo bhi dawa ho jati hai Tu hi bata aye dost kya karun. Jisko b chahte hai wo bewafa ho jati hai



Chuu Le Aasmaan, Zamin Ki Tu Talash Naa Kar, Mazaa Le  Zindagi Kaa, Khusiyon Ki Tu Talash Naa Kar, Gamoh Se Door Hokar, Muskurana Sikh Le,  Wajay Ki Talash Naa kar




Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi
Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi
Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi
Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi
Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi
Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi.
 

 

No comments: